Feature

Nandita Mahtani hosts a birthday party for Tusshar Kapoor

http://www.sakshatkar.com/2017/11/nandita-mahtani-hosts-birthday-party.html

चोर लेखक -सुशील गंगवार

Jab hum kisi bhasa ka pryog karte hai to uska ek bhav hona chahiye ? Jo jaldi samjh me aa sake . Yuva patrakaar or lekhak bhasha ko taak par rakhkar likh rahe hai. Unke kuchh bhi likhne ka arth seeda hai . Pahle ke Patrkaar or lekhak apni baat ko ghumkar likhte the. Hum jaante hai ki youg badal chuka hai. Bhasha me nagnta fahudpan saaf jhalkati hai. Bhasha entni kamjor ghatiya - neeche star ki nahi honi chahiye .jise padkar khud sharmshar hona pade ? Pahle ke kahanikaar - lekhak balatkaar ke seen ko likhne ke liye ghumaoodaar bhasa ka pryog karte the.unki kahani - lekh ka bhav bahi hota jo vah kahna chahte the. Magar likhne ka dhag alag tha. Likhne or padne ke naye chalan ne blog likhne valo ko paida kar diya hai। Pahle ke samya me likhne vale gine chune huye karte the. Ghatiya darje ke lekhako ki baad aa gayi hai . Hum nahi kahte ki likhna bura hai. Aap apni baat ko likh kar jahir kar sakte hai. aapki bhasha me shudata ka pura mapdand hona jaruri hai. Achha likhne ke liye padna aavshayak hai. Aaj ke lekhak padte kam or likhte jayda hai. Vah tunak kar kahte hai . Hum kisi ki nakal nahi karna chahte hai, apni baat ko apne shavdo me pirokar likhna chahte hai. Gar aaklan kiya jaye to 65 % lekhak dusre ki copy karte hai. Ek sahev bole - bhai mai ek vigyapan par kitab likh raha hu. Aapko thoda dikhna chahta hu. Mai unke ghar pahuch gaya . Ghar jaakar dekha to Ek girl computer par kuchh cut pest kar rahi thi. Baato baato maine puchh liya , yah kown hai - lekhak tapaak se bola ki yah thoda sa likhne me madad karti hai. unki kitab ke proof dekhe par matha thanak gaya . Unki aadhi kitab cut pest karke banyee gayee thi. Maine thoda muskra kar puchha .Are aapka likha esme kya hai. vah bole aajkal ese hi likhte hai. Gangwar ji entna time kaha hai. Jo aaraam se soch vichar kar likh sake . Esliye yah ladki din bhar material chhati rahti hai। Jab ladki se puchh tum kya karna chahti to vah boli mai ek achhi lekhak banna chahti hu. Sansaar me lekhan - lekhak ka patan ho raha hai. Agar seeda kaha jaye to aap chori karne me mahir hai to lekhak - patrakaar ban sakte hai. Undino mai mumbai me kaam karta tha. Ek baar paper me jagah nikali to mai apna biodata lekar office pahuch gaya . Interview me ek hi sabal puchh gaya ki aap Hindi se agreji me translation kar lete ho . Maine bhi haa bol diya ? yah to mere liye aasan hai. Maine vah magazine join kar li. Agle din se mai din bhar baith kar hindi akhbaar padta tha. Badi khabar ko chhota karta or chhoti khabar ko bada karta tha. Maine apne Dad ko bola ki yah to chori karke likhte hai .Enki to puri magaizne cut pest par banti hai. Esme ek interivew hi satya hota hai. Jise sampadak khud lekar aata hai. Dad bole tum ek sajjan se milo vah mere jaane vale hai . Vah chhoti chhoti kitabe likhkar bechta hai. Jab mai unke office pahucha to najra kuchh alag tha. Unke pass dus boy likhne ka kaam kar rahe the. Maine puchh chacha agar yah likhte hai to aap kya karte hai to bole beta hum to sampadan ka kaam dekhte hai . Maine kitab padi to sari kahani chacha ke naam par chhapi thi. Maine puchh liya ,Are esme aapke nay lekhak ka naam nahi to vah bole beta tum abhi naye ho . Hum enko naukri likhne ki dete hai . naam vaam chapne ki nahi ? Bharat me chapne vali chhoti choti kitab ,magazine akhbaar cut pest ke jariye taiyaar kiye jaate hai. Unka staff chori karke likhne me nipud hota hai. Chori karke aap thoda bahut likhne me nipud ho jaate hai. Aapki apni soch samjh so jaati hai. Chintan karke likhne ka anand hi kuchh alag hai.

No comments:

Post a Comment

Famous Post